Sunita ko pet mein tez dard hai.
Uske pati phone uthate hain aur likhte hain: gynaecologist near me. Unhe kisi doctor ka naam nahi pata. Unhe bas bharosa chahiye.
Karunya Digital sirf doctors aur hospitals ke saath kaam karti hai. Google, Instagram aur YouTube pe aapki pehchaan banate hain, aapki bhasha mein, NMC guidelines ka dhyaan rakhte hue.
Har din aapke shehar mein koi na koi isi tarah doctor dhundhta hai. Yeh kahani aapke clinic ki bhi ho sakti hai.
Uske pati phone uthate hain aur likhte hain: gynaecologist near me. Unhe kisi doctor ka naam nahi pata. Unhe bas bharosa chahiye.
Aap shehar ke sabse anubhavi doctor ho sakte hain. Par jiska profile khaali hai, na photo, na video, na reviews ka jawaab, woh patient ke liye maujood hi nahi.
Saaf photos. Aapki aawaaz mein ek chhota video jo unka darr samjhaata hai. Sahi timing, sahi number. Woh rukte, video dekhte, aur aapko call karte.
Yahi hamara kaam hai: aapki mehnat aur patient ke beech ka pul banna. Na jhoothe daave, na shor. Sirf bharosa, jo roz thoda badhta hai.
Hamare clients ke Meta dashboards se, bina kisi kaat-chhaant ke.
Yeh reels hamari team ne asli doctors ke saath banaye hain. Awaaz ke liye button dabaiye.
“Main yahan normal delivery karaane aayi thi.”
Ek maa, uska parivaar, aur ek nayi zindagi. Jab aisi asli kahaniyaan sahi tarah se dikhti hain, shehar ke dusre parivaar bhi bharosa karte hain. Hum aisi kahaniyon ko izzat ke saath, parivaar ki marzi se, edit karte hain.
Mujhe camera ke saamne bolna nahi aata.

Koi baat nahi. Script hum likhte hain, aapki bhasha mein. Aap bas apni baat boliye, edit aur captions hamari zimmedaari. Camera pe nahi aana? Voiceover aur motion graphics se bhi reel banti hai.
NMC ke rules ka darr lagta hai. Kahin kuch galat na chala jaaye.

Isliye hamara content patient ko samjhaane pe tika hai. Na “best doctor” jaise daave, na guarantee, na patient ki pehchaan. Har post aapki approval ke baad hi jaati hai.
OPD, surgery, emergency… mere paas time nahi hai.

Aapko time dena hi nahi hai. Ek WhatsApp group, mahine ka ek calendar. Aap approve kariye, baaki posting, replies aur report hum sambhalte hain.
Marketing wale bade-bade vaade karte hain, phir gaayab.

Hum ranking ya patients ki guarantee nahi dete. Kisi ke haath mein nahi hoti. Hum dete hain roz ki mehnat, har mahine ki saaf report, aur sach.
Hinglish script, editing, captions aur posting. Pehle 3 second mein patient ka dhyaan.
“Near me” search mein aapka profile poora, saaf aur bharosemand dikhe.
Aapke shehar aur area ke logon tak, sahi message ke saath. Har hafte check.
Mahine ka plan ek PDF mein. Proposals, forms aur competitor report bhi.
“Dr. Name × Karunya” logo, colours aur profile, taaki har jagah ek pehchaan.
Chaar seedhe kadam. Aapka kaam sirf pehla message aur har mahine ki approval.
Aap apni speciality, shehar aur abhi kya chal raha hai, woh batate hain.
Hum aapka Google profile, Instagram aur aas-paas ke doctors dekhte hain. Kya kam hai, saaf batate hain.
Mahine ka content calendar PDF mein aapke paas aata hai. Aap approve karte hain.
Scripts, edits, posting aur replies. Mahine ke aakhir mein simple report.





Ek WhatsApp message bhejiye. Hum aapki speciality aur shehar samajh kar batayenge ki shuruaat kahan se karein.